सर्वाधिकार सुरक्षित !

सर्वाधिकार सुरक्षित !
इस ब्लॉग की किसी भी पोस्ट को अथवा उसके अंश को किसी भी रूप मे कहीं भी प्रकाशित करने से पहले अनुमति/सहमति अवश्य प्राप्त कर लें

Thursday 11 August 2011

mann


maanav mann ki abhilasha ko jaan saka na koi
iske kehne par ye aankhen hansi or hain royee.

jaane kahan kahan se ichchhayen le kar ye aata,
unke peeche khud bhaage or hamko bohot bhagaata.
sach maano in ichchhaon ka ant nahi hai koi.
maanav mann ki abhilasha ko jaan saka na koi.

ye hai raja ham sevak hain, ham par raaj chalaaye,
apni aagya manvaane ko hamko ye bhatkaaye.
is mann ki abhilashayen hi ab tak hamne dhoyee.
maanav mann ki abhilasha ko jaan saka na koi.

bhaavnayen rassi hai iski baandha jisse hamko,
inke damm pe kathputli sa bana diya jeevan ko.
apne jeevan par hi hamne apni saakh hai khoyee.
maanav mann ki abhilasha ko jaan saka na koi.

kabhi bane chanchal baalak sa idhar udhar ye bhaage,
nahi sune ye kahaa kisi ka, jaye aage aage.
us mushkil par roye jo khud isne hi hai boyee.
maanav mann ki abhilasha ko jaan saka na koi
iske kehne par ye aankhen hansi or hain royee.